---
Bahut si baatein is akelepan mein zehan mein aati hain ya shayad isse tanhai (solitude) ka aaghaz keh sakte hain. Mujhe lagta hai hum apne aap par kisi bhi tareeke se tag nahi lagana chahte. Jaise, mera pehla khayaal yeh hai ke koi na jaane ke main kitna vulnerable state mein hun ye likhte waqt. Jaise main kahin peechay chhup jaun. Jaise koi mujhe define na kar le sirf isse.
Is tarah ke khayal mujhe ye ehsaas dilate hain ke meri societal-acceptance ek aisi conditioning se panpi hai jahan har tarah ke jazbati aur zehni patterns par ek tag lag chuka hai. Ab yeh jo naming convention tha, shayad sirf tafreeq ke liye tha, par ab isse aapka poora characterisation kar diya jaata hai.
Jaise, agar aap vulnerable hain, apni baat kehna jaante hain, toh aap needy samjhe jaate hain. Agar aap practical hain, aap calculative hain, toh aapko matlabi kaha jaata hai. Agar aap impulsive hain, short tempered hain, toh aap immature bhi kehlaaye ja sakte hain. Aap reactive aur responsive ke farq ko samajhte hue bhi kabhi kabhi cheezon par react kar jaate hain. But all of this will be elevated above your true personality.
Mujhe lagta hai ke in sabhi patterns ka ek 'kal' hota hai, aur inke aage bhi ek aane wala 'kal' hai. Aur jo shakhs is 'kal' se guzar kar banta hai, usi ko growth kehte hain. Transitions ke dauran, hum aksar ek doosre ko judge karte hain, rather than just letting be.
Har koi ek transition phase mein hai. Koi final point hai hi nahi—yeh samajhne ki zarurat hai.Aap har din badlenge, aur yahi is safar ki khoobsurati hai.
Look beyond, create safe spaces, judge less,
Love more.
xoxo
---
No comments:
Post a Comment